Chalo Ham Farz Kertay Hain
Wohi Baatain, Jo Duniya Mein Nahin Hotin
Chalo Ham Farz Kertay Hain
Kay Har Soo Noor Phaila Hai
Na Din Mein Cchaya Sannata, Na Raatoon Mein Andhaira Hai
Na Sooraj Shab Mein Sota Hai, Na Din Mein Chand Khota Hai
Hai Har Dil Roshni Say Pur Noor Aur Aankhoon Mein Ujala Hai
Chalo Ham Farz Kertay Hain
Kay Har Mausam Bahaar Hai, Khizaan Mein Phool Khiltay Hain
Nigahain Rangoon Say Nahati Hain
Guloon Ki Khushboo Say Sab Nazaray Muattar Hain
Parinday Chehchahatay Hain, Khushi Kay Geet Gatay Hain
Chalo Ham Farz Kertay Hain
Kay Har Dil Mein Muhabbat Hai, Kabhi Jhaghray Nahin Hotay
Na Barish Dukh Ki Hoti Hai, Na Aandhi Gham Ki Chalti Hai, Na Nafrat Phaans Banti Hai
Hain Sabhi Chehroon Pay Muskanain, Kahin Jhaghray Nahin Hotay
Chalo Ham Farz Kertay Hain
Kay Gham Khushioon Say Behtar Hain
Chalo Ham Farz Kertay Hain
Yeh Duniya Tum Say Behtar Hai
Zara Thehro……
Magar Ham Farz Kiyon Kar Lein?
Yaqeen Mujh Ko Batata Hai, Haqeeqat Tou Haqeeqat Hai
Main Sab Kuch Jaanta Hoon Kay
Na Sooraj Shab Mein Chamkay Ga, Na Din Mein Chand Niklay Ga
Khizaan Mein Gul Nahin Khiltay, Yeh Nafrat Mar Nahin Sakti
Na Gham Khushioon Say Behtar Hain
Na Duniya Tum Say Behtar Hai
Hai Duniya Ki Haqeeqat Kiya?
Faqat Ik Tum Hi Acchay Ho
Jahanoon Say Zamanoon Say, Makanoon La-Makanoon Say
Yeh Sab Kuch Hai Wohi, Jo Is Duniya Mein Hota Hai
Tou Phir Ham Farz Kiyon Kar Lein?
Kay Duniya Tum Say Behtar Hai
Nahin…..
its really greaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaat
Thanks
Good One
liked it sooo much..:)